" Difficult roads often lead to beautiful destination "
Welcome to UPSC with Nishant! 🎓✨
यहाँ आपको मिलेगी UPSC की हर छोटी-बड़ी जानकारी, वो भी एकदम आसान और समझने वाले तरीके में। 📚
चाहे हो Polity, Geography, Current Affairs, या Geopolitics – हर विषय को मैंने simplify करके explain किया है, ताकि आपकी तैयारी मज़बूत बने। 💡
🔥 क्या खास मिलेगा यहाँ?
✅ NCERT Playlist: Detailed और easy-to-understand
✅ Polity की M. Laxmikant Book का आसान Breakdown
✅ Vision IAS Monthly Current Affairs Analysis
✅ Yojana, PIB और Kurukshetra Magazines की insightful analysis
✅ World Affairs और Geopolitics के In-Depth Videos
⚡ यहाँ आपको मिलेंगे - UPSC Quick Facts, Gym Fitness Motivation, और Daily Knowledge Shorts — ताकि आपकी पढ़ाई और फिटनेस दोनों में Motivation कभी कम न हो! 📚🏋️🌍
🎯 अगर आप UPSC 2026 की तैयारी कर रहे हैं या एक Beginners Guide की तलाश में हैं, तो यह चैनल आपके लिए है!
💪 Hard Work तो आपका है, Direction देना हमारा!
👉 UPSC सफर में साथ चलने के लिए अभी Subscribe करें! 📚✨
आपकी तैयारी हमारी ज़िम्मेदारी!"
Nishant Sharma
🚨 Sunday Evening Live Alert! 🚨
Kal shaam 🕕 6:00 PM se LIVE aa raha hoon ❤️
Koi script nahi...
Koi formal session nahi...
Bas aap aur main 😊☕
UPSC, Delhi life, preparation, career, personal experiences, struggles, mistakes, future plans — jo mann kare pooch lena 😄
Kabhi kabhi comments me baat ho jaati hai...
Lekin live me dil ki baat ho jaati hai ❤️✨
⚠️ Aur haan...
Kal live miss kiya, to fir mat bolna:
"Yaar Nishant bhai se baat karni thi..." 😭😂
💬 Comment karke batao:
Kal live me aaoge na? 👇🔥
1 month ago | [YT] | 18
View 3 replies
Nishant Sharma
Insaan ki keemat tab samajh aati hai…
jab wo chala jaata hai 😌
Tab lagta hai…
“yaar, itna bura bhi nahi tha…” 🙂
#biden #donaldtrump #trump #iranwar #upsc
3 months ago | [YT] | 15
View 2 replies
Nishant Sharma
Drop your optional subject 👇
Let’s see which one dominates 🔥
3 months ago | [YT] | 29
View 10 replies
Nishant Sharma
✨🎂 Happy Birthday to Me 🎉🌙 "22 March"
Another year… another level unlocked 🚀✨
Still chasing dreams, still building myself 💫
Not perfect… but growing every single day 🌱💖
Grateful for everything — lessons, struggles & glow up ✨🖤
This year = focus, discipline & big goals only 🎯🔥
💬 Wish karoge ya bas dekh ke scroll kar jaoge? 😏🎁
Or 22 March kyu important hai geography ke terms Mai??
#birthday #upsc #upscaspirants #nishantsharma
3 months ago | [YT] | 40
View 12 replies
Nishant Sharma
Bahaar se chill 😎
Andar se UPSC pressure 😭📚
💬 Batao… main aspirant lag raha hu ya full time model ban jau? 😏😃
#upsc #iasmotivation #upsc2026
3 months ago | [YT] | 36
View 6 replies
Nishant Sharma
UPSC aspirant ke dimaag me 3 hi thoughts hote hain:
1️⃣ Prelims clear hoga kya?
2️⃣ Optional sahi choose kiya kya?
3️⃣ Age limit khatam to nahi ho jayegi? 😭
💬 Batao… sabse zyada tension kis baat ki hai?
#upsc #upscaspirants #upsc2026
3 months ago | [YT] | 8
View 4 replies
Nishant Sharma
UPSC aspirant ki life me sabse romantic jagah…
❌ Cafe
❌ Mall
✔️ Library ka corner seat 📚
Aur sabse bada heartbreak:
Seat kisi aur ne le li. 😭
#upsc #upsc2026
3 months ago | [YT] | 8
View 0 replies
Nishant Sharma
🚨 Urgent Question for Aspirants… Need Honest Advice
Global crises ki wajah se sab kuch mehnga hota ja raha hai…
LPG, food, rent, travel — sab kuch skyrocket kar gaya hai. 📈
Aur sach bolun to…
Mere account me ab ZERO balance bacha hai. 💔
Kabhi kabhi lagta hai preparation ke beech me hi
'existential crisis' aa gaya hai…
📚 Padhna bhi hai
💰 Paise bhi khatam ho rahe hain
😔 Aur future ka pressure alag…
What should I do? How to survive this phase?
Kya kisi aspirant ne aisa phase face kiya hai?
Agar haan, to aapne kaise handle kiya?
💬 Genuine advice comments me zaroor do…
shayad kisi aur aspirant ko bhi help mil jaaye. ❤️
#upsc #upsc2026 #iasmotivation
3 months ago | [YT] | 28
View 5 replies
Nishant Sharma
🌍 Iran War chal rahi hai…
Missiles ud rahe hain, oil prices badh rahe hain, global politics change ho rahi hai…
Aur idhar UPSC aspirant:
📚 “Bhai ye IR ke syllabus me hai kya?” 😭
UPSC aspirants ka dimaag:
War = Prelims + Mains + Interview material
👉 Batao honestly…
Tum news country ke liye dekhte ho ya exam ke liye? 😅
#upsc #upsc2026 #upscaspirants
3 months ago | [YT] | 7
View 1 reply
Nishant Sharma
📢 UPSC Aspirant ke liye Room Available (Patel Nagar)
Agar aap Delhi me rehkar UPSC preparation karna chahte ho aur ek peaceful study environment dhund rahe ho, to ek room setup available hai.
🏠 Facilities:
✔ Attached Washroom
✔ Kitchen + Hall
✔ WiFi
✔ AC
✔ Quiet & Study-friendly Environment
💰 Rent: 7,000/- (All basic facilities included)
Sabse achhi baat ye hai ki main bhi yahin rahunga 🙂
Main khud UPSC preparation kar raha hoon aur YouTube par aspirants ko guide karta hoon.
Agar aap beginner ho, to main apne experience se guidance, motivation aur direction dene ki puri koshish karunga.
📚 Serious preparation ke liye ek disciplined routine aur library culture follow karna helpful hota hai, isliye generally library me study karna aur focused environment maintain karna better rahega.
Ye setup un students ke liye best rahega jo seriously preparation karna chahte hain aur positive environment me grow karna chahte hain.
Interested ho to direct message kar sakte ho.
— Nishant Sharma 🙂
4 months ago | [YT] | 4
View 3 replies
Load more