*For Story / Post — 19 June ke liye* _Written on: 2nd June 2026 — kyunki main bhoolna nahi chahti is lia phly bana li thi post 2 june ko or aj post kr rhi hun_ 📌
_19 June ka din special kyun hai? Kyunki is din YouTube ki duniya ka sabse funny, sabse caring, aur sabse barra bhai paida hua tha._
_1 month pehle main YouTube scroll kar rahi thi... bilkul tooti hui, udaas. Phir Syeda Rani sis ki live aa gayi. Wahan Hanan Bhai, Babar Bhai, aur aap mile Sheda Bhai. Rani sis ne himmat di, lekin hasna aapne sikhaya_ 😭❤️
_Sheda Bhai, aap sabse barre ho, sabse zyada samajhdaar ho. Khud ko Shakeela kehte ho aur humein hasa hasa kar pagal kar dete ho_ 😂 _Par main jaanti hoon... kabhi kabhi aap apne parents ko bohot yaad karte ho. Aaj bhi kar rahe the na?_
_To bhai suno: Aap akelay nahi ho. 1 month mein hi aapne humein family bana liya. Aapke parents jahan bhi hain, unko aap par fakhar hoga. Aur hum? Hum ab aapki family hain. Aapke dukh mein bhi, masti mein bhi._
_May this year bring you all the laughter you give us. May Allah fill your life with the same warmth you give to strangers on live. May you never feel alone again, because we got you_ 🫂🤍 _Ab birthday gift mein kya chahiye?
_Happy Birthday to the best bhai. Love you, Sheda Bhai._ _– From your chhoti behen, who found a brother in you_ ✨
*Subah 7:15 AM — Akbar Khan ka Ghar, Karachi* *Eman Akbar* neeche kitchen mein *Ammi* ki madad kar rahi thi Matric ke baad ka khali pan* usay andar se kha raha tha.
*Amna Begum:* _"Eman beta, roti jala di. Kahan kho gayi ho? Raat bhar mobile mein ghusi rehti ho."_ *Eman:* _" g Ammi? Sorry... wo bas ek video ka idea soch rahi thi."_ *Amna Begum* ne beti ke chehre ko gaur se dekha. *3 bhaiyon — Saad, Faizan, Bilal — ki laadli*, par *behen na hone ka dukh* uski aankhon mein saaf tha.
*Bilal* kitchen mein aaya, chai ka cup uthaya: _"Ammi, isay chor do. Ye to apne 'Anchal' channel ki heroine hai. 147 subscribers ho gaye, ab humein bhool gayi."_ *Eman* ne takiya mara: _"Chup kar Bilal! Tujhe kya pata creator ka dard. Mehnat karo to views nahi aate."_ *Saad* bahar se awaz laga ke bola: _"Oyee chhoti, nashta banao jaldi. Office jaana hai. *Faizan* kamre saa nikla .... Nashtaa kar ka sab apny kamo ma msroof hogy
*Eman* apne kamre mein aayi. *Mobile uthaya. YouTube khola.* Naya channel banaye *2 mahine hue the — "Anchal"*. *147 subscribers* sirf. *Almaari kholi.* Ek kone mein *plastic mein lipta hua kala umbrella* rakha tha. *2 saal se sambhal ke rakha hua.* _Us ajnabi ka... jisne kaha tha 'Daro nahi main hun'. Naam tak nahi pata uska. Chehra tak nahi dekha._ Dil bhar aaya.
---
*Ussi waqt — Malik Zaman ki Kothi, DHA*
*"Malik Shab, nashta tayyar hai!"* _Malkani_ yani *Sakina* ne dining table se awaz lagayi. *Malik Zaman* newspaper se nazar hata ke bole: _"Malkani, zara apne shehzade ko to uthao. Raat 2 baje tak live karta hai, ab 10 baje tak sota rehta hai. 9K ho gaye, par nakhre 9M wale hain."_
*Zoya* seerhi se utarte hue boli: _"Abbu, aapka shehzada nahi, philosopher hai wo. 'Raat Ke 2 Baje Ki Baatein' karta hai. Hum gareebon ko kon samjhayega?"_ Sab hans pade.
*Hoor* bhagti hui aayi: _"Ammi, Arham bhai ka kamra lock hai. Andar se 'barish-barish' ke dialogue aa rahe hain. Phir se video bana raha hoga."_ *Rayyan* haste hue bola: _"Bhai ko bolo, 9K ho gaye hain. Ab to humein bhi collab de de. Main bhi famous ho jaunga. Aur haan, Mama chai extra strong banaya kryn Bhai philosopher ban ke thak jata hai."_
*Malkani* muh bana ke boli: _"Ye larka na, sara din chai aur kitaabein. 2 saal se ek hi baat... 'barish... 2 baje... umbrella'. Malik Shab, aap iski shaadi karwa do, sudhar jayega. Koi larki mil jaye jo iski barish wali kahani sun le."_ *Malik Zaman* hans diye: _"Malkani, jis din ye khud keh de ke 'Malik Shab, larki pasand aa gayi'... us din poora Karachi block kar ke baraat le jaunga. 9K subscribers ki baraat... wah!"_ *Rayyan* bola: _"Abbu, pehle 9K se 9M to hone do. Phir baraat ka sochenge."_ Poora ghar qehqehe se goonj utha. Par *Arham* kamre mein *2 saal purani yaad* mein khoya tha. _Wo larki... blue uniform... dar rahi thi... kaash naam puch leta._
---
*2 Saal Pehle — Dopahar 2 Baje. Barish.* *Matric se pehle. School ki chhutti.* *Eman* blue uniform mein road ke kinare khadi thi. *Bijli chamak rahi thi, badal garaj rahe the.* Gaariyan paani uchhal rahi thi. *Chhota sa dil dar se kaamp raha tha.* _Ammi ne kaha tha akeli mat jana... ab kya karun?_
*Saamne wali building ki 2nd floor ki window* khuli. *Arham* andar *kitaab parh raha tha, chai pee raha tha.* Badal garje to usne *parda hataya*. Nazar *seedha us larki pe padi* jo *qadam aage peeche kar rahi thi. Blue uniform. Masoom si. Darr ke maare honth kaap rahe the.*
*Eman* ki aankhon ke saamne *kala umbrella khula*. Barish ruk gayi uske liye. Kisi ne uska *thanda, kaamp-ta haath thaam liya*. _"Daro nahi... main hun."_ Us ajnabi ne road cross karayi. *Umbrella uske haath mein de diya.* _"Sambhal ke jana. Agli baar akeli mat aana barish mein."_ Bola aur *sar pe kitaab rakh ke hansta hua galiyon mein gayab ho gaya.*
*Eman* ne palat ke dekha bhi nahi. *Naam nahi pucha. Chehra nahi dekha.* Bas *awaz yaad reh gayi... gehri, naram, protective.* Bas *umbrella* reh gaya. Jo aaj bhi *almaari mein, plastic mein lapet ke rakha hai.* *Aur shayad usi din se... Eman ne apne channel ka naam "Anchal" rakh liya tha. Kyun? Khud bhi nahi jaanti thi. Bas dil ne kaha tha... jaise us ajnabi ne usay 'anchal' mein chhupa liya tha barish se.*
---
*Present — Raat 8:55 PM* *Eman* ne *wo channel dhoodh lia jo awaz sun k usy bhot apni lgi thi jisy wo ak hafty sa dhoond rhi thi wo tha Arham ka channel emaan na* dhoond hi liya. *3 saal purana channel. 9K subscribers.* *Latest video:* _"Barish aur Yaadein"_ — 2 din pehle upload hui thi. Eman ne play ki. *Wahi awaz.* Dil zor se dhadka. _Ye awaz... kahin suni hui lagti hai. Dil ko kyun sukoon mil raha hai?_ Video mein *Arham* keh raha tha: _"Dosto, 2 baje ki barish sabse pyaari hoti hai. Kyunke us barish mein koi apna mil jata hai... phir kho jata hai."_ *Eman* ki aankh bhar aayi. _Ye kya bol raha hai? Jaise meri kahani suna raha ho._
*9:00 PM — Arham Live Notification:* _"Arham is live: Raat Ke 2 Baje Ki Baatein"_ *Eman* ke haathon paseena aa gaya. *Join kare ya nahi?* _Wo mujhe jaanta bhi nahi._ Par *dil nahi maana.* _Ek baar... sirf ek baar us se baat kar lo. Awaz sun lo._
Live open kiya. *Arham* chhat pe betha tha. Chai ka cup haath mein. Baarish ki halki boondein gir rahi thi. _"To dosto... aaj baat karte hain barish ki... us barish ki jo 2 baje aayi thi... aur kisi ka haath thaam ke le gayi thi... phir tanhai de gayi."_
*Chat mein messages aa rahe the:* *User1:* Bhai sad kyun ho? *User2:* Malik, chai pila do *Hassan:* Oyee Arham, phir barish start? *Usman:* Bhai 9K ho gaye party kab dega?
*Eman* ne kaanp-te haathon se type kiya. *Pehli baar kisi ajnabi ko message.* *Anchal:* _Hi Aslam o Alikum_
*47 viewers* mein se *Arham ki nazar bas us ek comment pe ruki.* _"Anchal?"_ *Naam parh ke eyebrow uth gayi. Chehre pe be-ikhtiyar muskurahat aa gayi.* _Kya baat hai... filmy naam hai. Pyaara naam hai._
*Pehli baar Arham ne sab ko ignore kar diya.* *Chat scroll ho rahi thi. Hassan, Usman, Hamza tag kar rahe the.* Par *Arham* ne kisi ko nahi dekha. Headphone theek kiye. Lehja khud-ba-khud *naram, shehed jesa meetha* ho gaya. Aur bola:
*Arham:* _"Walikum asalam... Welcome Anchal g. Aapka welcome hai is live stream mein. Filmy naam hai aapka... bohat pyaara. New hain tu like or subscribe kar dijiye ga. Aur hum sab ke saath is yaaron ki mehfil mein jur jayein. Batayein... kaisi hain aap?"_
*Eman* ka dil ruk gaya. _Itne pyaar se... mere se baat kar raha hai? 9K subscribers wala... 47 logon ko ignore karke?_ *Anchal:* _ g main theek hun. Aap kaise hain?_
*Arham:* _"Main? Main theek hun Anchal g... jab se aap aayi hain mehfil mein, aur theek ho gaya hun. Aapko barish pasand hai?"_
*Eman* ne jaldi se type kiya. Dil ki baat nikal gayi. *Anchal:* _Nahi... mujhe barish se dar lagta hai._
*Arham* chonk gaya. *Chai ka cup haath mein ruk gaya.* _Dar lagta hai? Barish se?_ *Arham:* _"Kyun Anchal g? Barish tu bohat achi hoti hai. Kisi ko pyaar milta hai, kisi ko chain... kisi ko sukoon. Barish mein to duaein qubool hoti hain."_
*Eman* ki aankhein bhar aayi. *2 saal purana manzar* aankhon ke saamne aa gaya. Likha: *Anchal:* _Mujhe dar lagta hai... aise hi 2 saal pehle road pe khari thi. School ki chhutti hui thi. 2 baj rahe the. Barish tez thi. Main akeli thi... bohat dar gayi thi. Tab se dar lagta hai._
*Arham* ke haath kaanp gaye. *Chai gir gayi.* _2 baje... school ki chhutti... road pe... akeli... dar gayi thi?_ *Ye to... ye to meri kahani hai. Us larki ki kahani.* Dil zor se dhadakne laga. Kuch kehne hi laga tha ke...
*Net slow ho gaya. Screen freeze. Live off ho gaya.*
*Eman* chillayi: _"Nahi!"_ Refresh kiya. *"Live Ended"*. _Kya hua? Abhi to baat ho rahi thi. Itna acha lag raha tha. Usne sab ko ignore kiya... sirf mujhse baat ki._
---
*Ussi waqt — Arham ka Phone Baj Raha Tha*
*Hassan* call pe: _"Oyee Malik! Kya scene hai? Live kyun band kiya? Aur tu sab ko ignore kar raha tha. Sirf us Anchal se baat kar raha tha. Kya baat hai? Kahin us Anchal se pyaar to nahi ho gaya?"_
*Usman* beech mein bola: _"Arham bhai, 9K pe Anchal mil gayi. 9M pe kya milega?"_
*Hamza* hasta hua: _"Nahi yaar, ye us barish wali ka deewana hai. Har waqt barish barish karta hai. 2 saal ho gaye... us 5 minute ki mulaqat ko nahi bhoola. Ab ye Anchal aa gayi... kahin usi ko Anchal na samajh le."_
Sab *hansne lage.* _"2 saal ho gaye Arham, bhool ja us larki ko. Na naam pata, na chehra."_
*Arham* chup raha. Call cut ki. Aur soch mein doob gaya. _Anchal... 2 baje... barish... dar lagta hai... akeli thi... Kya ye wohi hai? Jo 2 saal se main dhoond raha hun? Mera pehla pyaar... pehli mulaqat... 5 minute ki. Dil kyun keh raha hai ye wohi hai? Anchal... filmy naam... aur filmy kahani. Kon hai ye?_
---
*Ussi waqt — Eman ka Kamra*
*Eman* bed pe baithi thi. **Live ka screenshot* dekha. *Arham* ka chehra. _Itna pyaara... itna apna sa kyun laga?_ _Live kyun band ho gaya? Usne kaha 'Barish mein sukoon milta hai'... aur maine kaha 'Mujhe dar lagta hai'. Kya soch raha hoga?_ _Kyun us se baat karke laga jaise... jaise main usay jaanti hun. Jaise uski awaz pehle bhi suni hai. Kahin wo... nahi nahi... wo ajnabi kahan aur ye YouTuber kahan._
Dono *an-jaan* thay. *Eman* ko nahi pata tha *Arham hi wo ajnabi hai* jisne *2 saal pehle umbrella diya tha.* *Arham* ko nahi pata tha *Anchal hi wo larki hai* jise wo *2 saal se dhoond raha hai. Uska pehla pyaar. First year se pehle ki mulaqat.*
Dono *ek dusre ko sochte hue*... *ek dusre ka khayal dil mein liye*... *so gaye.*
*Ek chhat ke neeche Karachi mein... do dil... anjaan... par jure hue.*
_Neeche sadak pe Eman akeli khari hai. *Muh road ki taraf*, baal bheeg ke chehre pe chipke hue. Darr se kaanp rahi hai, road cross nahi kar pa rahi._
_Tabhi... uske sar pe ek umbrella aa jaata hai. Wo chaunk jaati hai, par mud ke dekhti nahi._
*Arham [uske peeche se, gehri aawaz]:* _"Daro nahi... main hoon."_
_Wo dheere se Eman ka haath pakad ke use road cross karwata hai. Barish ke shor mein sirf qadam aur saansein sunayi deti hain._
_Road ke us paar pohoch ke Arham umbrella Eman ke haath mein de deta hai._
*Arham:* _"Sambhal ke jaana."_
_Phir wo bheegi hui kitaab *apne sar pe rakh leta hai*... aur palat ke barish mein bhaag jaata hai._
_Eman wahin khari reh jaati hai — ek haath mein umbrella, aankhon mein hairat. Usne uska chehra abhi bhi nahi dekha. Bas ek bheegti hui peeth door jaati dekhi hai... sar pe kitaab rakhe._
*Voiceover:* _"Usne use nahi dekha... par wo apna nishaan chhod gaya. Aur yahin se shuru hua..._ *ISHQ KA JUNOON.*"
Myself Mahi — I am a writer. Main pehle Facebook pe novel likhti thi, lekin mera page delete ho gaya jiska mujhe aaj tak dukh hai. Woh sirf page nahi tha... meri raaton ki neendain, meri mehnat, aur aap sab readers ka pyaar tha jo ek click mein khatam ho gaya.
Maine 5 se 6 novel likhe thay, jinke naam ye hain: *Hamraaz, Rooh Saaz, Hamdam, Meherbaniyan, Kamli* aur *Ishq Junoon*.
*Ishq Junoon* adha likha tha, sirf 2 episodes post ki thi ke page hi delete ho gaya. Dil toot gaya tha, isliye kaafi dino tak khamosh rahi.
Phir socha ke ek aisa novel likhun jo dil se nikle aur seedha dil tak jaaye — jo *YouTube community* ko bhi attract kare. _"YouTube wala pyar"_ 😂
Bohat socha ke naam badal dun, story badal dun... lekin phir dil ne kaha: _"Story waisi hi rehne do Mahi, naam bhi *Ishq Junoon* hi rehne do. Kyun ke ye junoon tera apna hai."_
*Ek baat clear kar dun: Ye novel real story nahi hai, lekin iske kuch scenes real life se inspired hain.* Kuch dard maine khud mehsoos kiye hain, kuch lamhe maine khud jiye hain. *Ek ek lafz mera apna hai — koi copy paste nahi.*
Shayad kuch logon ko yaad ho... maine *Hina* aur *Yunna* ko bataya tha ke main novel likh rahi hun. Heroine ka naam *Eman* rakha hai — jo Yunna ka real name bhi hai. Sach kahun to maine soch kar nahi rakha tha... lekin ab post likhte hue achanak yaad aaya. Itefaq bhi kya cheez hai 💜
Maine himmat karke phir se likhna shuru kiya hai. Kuch episodes ready hain. Filhaal Episode 1 ka promo post kar rahi hun.
*Mujhe aap sab ka support chahiye... phir se grow karne ke liye, phir se usi junoon ke saath likhne ke liye.* Agar Arham aur Eman ki ye barish aapko apni lage, agar ye junoon aapke dil ko chhoo jaye... to zaroor batana, zaroor share karna.
*Aapka ek comment, ek share mere liye phir se shuru karne ki wajah ban sakta hai.* Phir main First Episode bhi post kar dungi.
Kookie Ding Ding 1997 😈💜
6 hours ago | [YT] | 4
View 1 reply
Kookie Ding Ding 1997 😈💜
10 hours ago | [YT] | 5
View 5 replies
Kookie Ding Ding 1997 😈💜
10 hours ago | [YT] | 3
View 1 reply
Kookie Ding Ding 1997 😈💜
2 days ago | [YT] | 12
View 12 replies
Kookie Ding Ding 1997 😈💜
How does the piercing look✨
3 days ago | [YT] | 13
View 24 replies
Kookie Ding Ding 1997 😈💜
😭
1 week ago | [YT] | 11
View 1 reply
Kookie Ding Ding 1997 😈💜
Happy birthday 🎂
*For Story / Post — 19 June ke liye*
_Written on: 2nd June 2026 — kyunki main bhoolna nahi chahti is lia phly bana li thi post 2 june ko or aj post kr rhi hun_ 📌
*Happy Birthday Sheda Bhai urf hamari Shakeela* 😂👑🎂
_19 June ka din special kyun hai? Kyunki is din YouTube ki duniya ka sabse funny, sabse caring, aur sabse barra bhai paida hua tha._
_1 month pehle main YouTube scroll kar rahi thi... bilkul tooti hui, udaas. Phir Syeda Rani sis ki live aa gayi. Wahan Hanan Bhai, Babar Bhai, aur aap mile Sheda Bhai. Rani sis ne himmat di, lekin hasna aapne sikhaya_ 😭❤️
_Sheda Bhai, aap sabse barre ho, sabse zyada samajhdaar ho. Khud ko Shakeela kehte ho aur humein hasa hasa kar pagal kar dete ho_ 😂 _Par main jaanti hoon... kabhi kabhi aap apne parents ko bohot yaad karte ho. Aaj bhi kar rahe the na?_
_To bhai suno: Aap akelay nahi ho. 1 month mein hi aapne humein family bana liya. Aapke parents jahan bhi hain, unko aap par fakhar hoga. Aur hum? Hum ab aapki family hain. Aapke dukh mein bhi, masti mein bhi._
_May this year bring you all the laughter you give us. May Allah fill your life with the same warmth you give to strangers on live. May you never feel alone again, because we got you_ 🫂🤍
_Ab birthday gift mein kya chahiye?
_Happy Birthday to the best bhai. Love you, Sheda Bhai._
_– From your chhoti behen, who found a brother in you_ ✨
#ShedaBhai #Shakeela #19June #YouTubeFamily@Sheda_Daku_Pistol_Te_Bomb
2 weeks ago (edited) | [YT] | 11
View 19 replies
Kookie Ding Ding 1997 😈💜
*Ishq Junoon ✨ —. Mahi writes ✍️ Episode 01: "Pehli Barish Ka Junoon"*
*Subah 7:15 AM — Akbar Khan ka Ghar, Karachi*
*Eman Akbar* neeche kitchen mein *Ammi* ki madad kar rahi thi Matric ke baad ka khali pan* usay andar se kha raha tha.
*Amna Begum:* _"Eman beta, roti jala di. Kahan kho gayi ho? Raat bhar mobile mein ghusi rehti ho."_
*Eman:* _" g Ammi? Sorry... wo bas ek video ka idea soch rahi thi."_
*Amna Begum* ne beti ke chehre ko gaur se dekha. *3 bhaiyon — Saad, Faizan, Bilal — ki laadli*, par *behen na hone ka dukh* uski aankhon mein saaf tha.
*Bilal* kitchen mein aaya, chai ka cup uthaya: _"Ammi, isay chor do. Ye to apne 'Anchal' channel ki heroine hai. 147 subscribers ho gaye, ab humein bhool gayi."_
*Eman* ne takiya mara: _"Chup kar Bilal! Tujhe kya pata creator ka dard. Mehnat karo to views nahi aate."_
*Saad* bahar se awaz laga ke bola: _"Oyee chhoti, nashta banao jaldi. Office jaana hai.
*Faizan* kamre saa nikla .... Nashtaa kar ka sab apny kamo ma msroof hogy
*Eman* apne kamre mein aayi. *Mobile uthaya. YouTube khola.* Naya channel banaye *2 mahine hue the — "Anchal"*. *147 subscribers* sirf. *Almaari kholi.* Ek kone mein *plastic mein lipta hua kala umbrella* rakha tha. *2 saal se sambhal ke rakha hua.* _Us ajnabi ka... jisne kaha tha 'Daro nahi main hun'. Naam tak nahi pata uska. Chehra tak nahi dekha._ Dil bhar aaya.
---
*Ussi waqt — Malik Zaman ki Kothi, DHA*
*"Malik Shab, nashta tayyar hai!"* _Malkani_ yani *Sakina* ne dining table se awaz lagayi.
*Malik Zaman* newspaper se nazar hata ke bole: _"Malkani, zara apne shehzade ko to uthao. Raat 2 baje tak live karta hai, ab 10 baje tak sota rehta hai. 9K ho gaye, par nakhre 9M wale hain."_
*Zoya* seerhi se utarte hue boli: _"Abbu, aapka shehzada nahi, philosopher hai wo. 'Raat Ke 2 Baje Ki Baatein' karta hai. Hum gareebon ko kon samjhayega?"_ Sab hans pade.
*Hoor* bhagti hui aayi: _"Ammi, Arham bhai ka kamra lock hai. Andar se 'barish-barish' ke dialogue aa rahe hain. Phir se video bana raha hoga."_
*Rayyan* haste hue bola: _"Bhai ko bolo, 9K ho gaye hain. Ab to humein bhi collab de de. Main bhi famous ho jaunga. Aur haan, Mama chai extra strong banaya kryn Bhai philosopher ban ke thak jata hai."_
*Malkani* muh bana ke boli: _"Ye larka na, sara din chai aur kitaabein. 2 saal se ek hi baat... 'barish... 2 baje... umbrella'. Malik Shab, aap iski shaadi karwa do, sudhar jayega. Koi larki mil jaye jo iski barish wali kahani sun le."_
*Malik Zaman* hans diye: _"Malkani, jis din ye khud keh de ke 'Malik Shab, larki pasand aa gayi'... us din poora Karachi block kar ke baraat le jaunga. 9K subscribers ki baraat... wah!"_
*Rayyan* bola: _"Abbu, pehle 9K se 9M to hone do. Phir baraat ka sochenge."_
Poora ghar qehqehe se goonj utha. Par *Arham* kamre mein *2 saal purani yaad* mein khoya tha. _Wo larki... blue uniform... dar rahi thi... kaash naam puch leta._
---
*2 Saal Pehle — Dopahar 2 Baje. Barish.*
*Matric se pehle. School ki chhutti.*
*Eman* blue uniform mein road ke kinare khadi thi. *Bijli chamak rahi thi, badal garaj rahe the.* Gaariyan paani uchhal rahi thi. *Chhota sa dil dar se kaamp raha tha.* _Ammi ne kaha tha akeli mat jana... ab kya karun?_
*Saamne wali building ki 2nd floor ki window* khuli. *Arham* andar *kitaab parh raha tha, chai pee raha tha.* Badal garje to usne *parda hataya*. Nazar *seedha us larki pe padi* jo *qadam aage peeche kar rahi thi. Blue uniform. Masoom si. Darr ke maare honth kaap rahe the.*
*Arham* ne chai rakhi. *Chehre pe muskurahat.* _Kitni darti hai. Akeli hai._
*Umbrella uthaya. Kitaab haath mein li.* Aur neeche bhaag gaya.
*Eman* ki aankhon ke saamne *kala umbrella khula*. Barish ruk gayi uske liye. Kisi ne uska *thanda, kaamp-ta haath thaam liya*.
_"Daro nahi... main hun."_
Us ajnabi ne road cross karayi. *Umbrella uske haath mein de diya.* _"Sambhal ke jana. Agli baar akeli mat aana barish mein."_ Bola aur *sar pe kitaab rakh ke hansta hua galiyon mein gayab ho gaya.*
*Eman* ne palat ke dekha bhi nahi. *Naam nahi pucha. Chehra nahi dekha.* Bas *awaz yaad reh gayi... gehri, naram, protective.*
Bas *umbrella* reh gaya. Jo aaj bhi *almaari mein, plastic mein lapet ke rakha hai.*
*Aur shayad usi din se... Eman ne apne channel ka naam "Anchal" rakh liya tha. Kyun? Khud bhi nahi jaanti thi. Bas dil ne kaha tha... jaise us ajnabi ne usay 'anchal' mein chhupa liya tha barish se.*
---
*Present — Raat 8:55 PM*
*Eman* ne *wo channel dhoodh lia jo awaz sun k usy bhot apni lgi thi jisy wo ak hafty sa dhoond rhi thi wo tha Arham ka channel emaan na* dhoond hi liya. *3 saal purana channel. 9K subscribers.*
*Latest video:* _"Barish aur Yaadein"_ — 2 din pehle upload hui thi.
Eman ne play ki. *Wahi awaz.* Dil zor se dhadka. _Ye awaz... kahin suni hui lagti hai. Dil ko kyun sukoon mil raha hai?_
Video mein *Arham* keh raha tha: _"Dosto, 2 baje ki barish sabse pyaari hoti hai. Kyunke us barish mein koi apna mil jata hai... phir kho jata hai."_
*Eman* ki aankh bhar aayi. _Ye kya bol raha hai? Jaise meri kahani suna raha ho._
*9:00 PM — Arham Live Notification:* _"Arham is live: Raat Ke 2 Baje Ki Baatein"_
*Eman* ke haathon paseena aa gaya. *Join kare ya nahi?* _Wo mujhe jaanta bhi nahi._
Par *dil nahi maana.* _Ek baar... sirf ek baar us se baat kar lo. Awaz sun lo._
Live open kiya. *Arham* chhat pe betha tha. Chai ka cup haath mein. Baarish ki halki boondein gir rahi thi. _"To dosto... aaj baat karte hain barish ki... us barish ki jo 2 baje aayi thi... aur kisi ka haath thaam ke le gayi thi... phir tanhai de gayi."_
*Chat mein messages aa rahe the:*
*User1:* Bhai sad kyun ho?
*User2:* Malik, chai pila do
*Hassan:* Oyee Arham, phir barish start?
*Usman:* Bhai 9K ho gaye party kab dega?
*Eman* ne kaanp-te haathon se type kiya. *Pehli baar kisi ajnabi ko message.*
*Anchal:* _Hi Aslam o Alikum_
*47 viewers* mein se *Arham ki nazar bas us ek comment pe ruki.*
_"Anchal?"_ *Naam parh ke eyebrow uth gayi. Chehre pe be-ikhtiyar muskurahat aa gayi.* _Kya baat hai... filmy naam hai. Pyaara naam hai._
*Pehli baar Arham ne sab ko ignore kar diya.* *Chat scroll ho rahi thi. Hassan, Usman, Hamza tag kar rahe the.* Par *Arham* ne kisi ko nahi dekha. Headphone theek kiye. Lehja khud-ba-khud *naram, shehed jesa meetha* ho gaya. Aur bola:
*Arham:* _"Walikum asalam... Welcome Anchal g. Aapka welcome hai is live stream mein. Filmy naam hai aapka... bohat pyaara. New hain tu like or subscribe kar dijiye ga. Aur hum sab ke saath is yaaron ki mehfil mein jur jayein. Batayein... kaisi hain aap?"_
*Eman* ka dil ruk gaya. _Itne pyaar se... mere se baat kar raha hai? 9K subscribers wala... 47 logon ko ignore karke?_
*Anchal:* _ g main theek hun. Aap kaise hain?_
*Arham:* _"Main? Main theek hun Anchal g... jab se aap aayi hain mehfil mein, aur theek ho gaya hun. Aapko barish pasand hai?"_
*Eman* ne jaldi se type kiya. Dil ki baat nikal gayi.
*Anchal:* _Nahi... mujhe barish se dar lagta hai._
*Arham* chonk gaya. *Chai ka cup haath mein ruk gaya.* _Dar lagta hai? Barish se?_
*Arham:* _"Kyun Anchal g? Barish tu bohat achi hoti hai. Kisi ko pyaar milta hai, kisi ko chain... kisi ko sukoon. Barish mein to duaein qubool hoti hain."_
*Eman* ki aankhein bhar aayi. *2 saal purana manzar* aankhon ke saamne aa gaya. Likha:
*Anchal:* _Mujhe dar lagta hai... aise hi 2 saal pehle road pe khari thi. School ki chhutti hui thi. 2 baj rahe the. Barish tez thi. Main akeli thi... bohat dar gayi thi. Tab se dar lagta hai._
*Arham* ke haath kaanp gaye. *Chai gir gayi.* _2 baje... school ki chhutti... road pe... akeli... dar gayi thi?_ *Ye to... ye to meri kahani hai. Us larki ki kahani.* Dil zor se dhadakne laga. Kuch kehne hi laga tha ke...
*Net slow ho gaya. Screen freeze. Live off ho gaya.*
*Eman* chillayi: _"Nahi!"_ Refresh kiya. *"Live Ended"*. _Kya hua? Abhi to baat ho rahi thi. Itna acha lag raha tha. Usne sab ko ignore kiya... sirf mujhse baat ki._
---
*Ussi waqt — Arham ka Phone Baj Raha Tha*
*Hassan* call pe: _"Oyee Malik! Kya scene hai? Live kyun band kiya? Aur tu sab ko ignore kar raha tha. Sirf us Anchal se baat kar raha tha. Kya baat hai? Kahin us Anchal se pyaar to nahi ho gaya?"_
*Usman* beech mein bola: _"Arham bhai, 9K pe Anchal mil gayi. 9M pe kya milega?"_
*Hamza* hasta hua: _"Nahi yaar, ye us barish wali ka deewana hai. Har waqt barish barish karta hai. 2 saal ho gaye... us 5 minute ki mulaqat ko nahi bhoola. Ab ye Anchal aa gayi... kahin usi ko Anchal na samajh le."_
Sab *hansne lage.* _"2 saal ho gaye Arham, bhool ja us larki ko. Na naam pata, na chehra."_
*Arham* chup raha. Call cut ki. Aur soch mein doob gaya. _Anchal... 2 baje... barish... dar lagta hai... akeli thi... Kya ye wohi hai? Jo 2 saal se main dhoond raha hun? Mera pehla pyaar... pehli mulaqat... 5 minute ki. Dil kyun keh raha hai ye wohi hai? Anchal... filmy naam... aur filmy kahani. Kon hai ye?_
---
*Ussi waqt — Eman ka Kamra*
*Eman* bed pe baithi thi. **Live ka screenshot* dekha. *Arham* ka chehra. _Itna pyaara... itna apna sa kyun laga?_
_Live kyun band ho gaya? Usne kaha 'Barish mein sukoon milta hai'... aur maine kaha 'Mujhe dar lagta hai'. Kya soch raha hoga?_
_Kyun us se baat karke laga jaise... jaise main usay jaanti hun. Jaise uski awaz pehle bhi suni hai. Kahin wo... nahi nahi... wo ajnabi kahan aur ye YouTuber kahan._
Dono *an-jaan* thay. *Eman* ko nahi pata tha *Arham hi wo ajnabi hai* jisne *2 saal pehle umbrella diya tha.*
*Arham* ko nahi pata tha *Anchal hi wo larki hai* jise wo *2 saal se dhoond raha hai. Uska pehla pyaar. First year se pehle ki mulaqat.*
Dono *ek dusre ko sochte hue*... *ek dusre ka khayal dil mein liye*... *so gaye.*
*Ek chhat ke neeche Karachi mein... do dil... anjaan... par jure hue.*
*-- To be continued --*
3 weeks ago | [YT] | 15
View 7 replies
Kookie Ding Ding 1997 😈💜
*ISHQ JUNOON - Tesear: "Pehla Saaya"*_Ek umbrella, ek bheegi kitaab, ek anjaan saaya..._
_Tez barish. Ghari mein 2 baje. 2nd floor ki window se Arham dekh raha hai._
*Voiceover:* _"Kuch log barish mein bheegte nahi... doob jaate hain."_
_Neeche sadak pe Eman akeli khari hai. *Muh road ki taraf*, baal bheeg ke chehre pe chipke hue. Darr se kaanp rahi hai, road cross nahi kar pa rahi._
_Tabhi... uske sar pe ek umbrella aa jaata hai. Wo chaunk jaati hai, par mud ke dekhti nahi._
*Arham [uske peeche se, gehri aawaz]:* _"Daro nahi... main hoon."_
_Wo dheere se Eman ka haath pakad ke use road cross karwata hai. Barish ke shor mein sirf qadam aur saansein sunayi deti hain._
_Road ke us paar pohoch ke Arham umbrella Eman ke haath mein de deta hai._
*Arham:* _"Sambhal ke jaana."_
_Phir wo bheegi hui kitaab *apne sar pe rakh leta hai*... aur palat ke barish mein bhaag jaata hai._
_Eman wahin khari reh jaati hai — ek haath mein umbrella, aankhon mein hairat. Usne uska chehra abhi bhi nahi dekha. Bas ek bheegti hui peeth door jaati dekhi hai... sar pe kitaab rakhe._
*Voiceover:* _"Usne use nahi dekha... par wo apna nishaan chhod gaya. Aur yahin se shuru hua..._ *ISHQ KA JUNOON.*"
*ISHQ JUNOON — 1 promo
3 weeks ago | [YT] | 12
View 23 replies
Kookie Ding Ding 1997 😈💜
*Assalam o Alaikum!*
Myself Mahi — I am a writer. Main pehle Facebook pe novel likhti thi, lekin mera page delete ho gaya jiska mujhe aaj tak dukh hai. Woh sirf page nahi tha... meri raaton ki neendain, meri mehnat, aur aap sab readers ka pyaar tha jo ek click mein khatam ho gaya.
Maine 5 se 6 novel likhe thay, jinke naam ye hain:
*Hamraaz, Rooh Saaz, Hamdam, Meherbaniyan, Kamli* aur *Ishq Junoon*.
*Ishq Junoon* adha likha tha, sirf 2 episodes post ki thi ke page hi delete ho gaya. Dil toot gaya tha, isliye kaafi dino tak khamosh rahi.
Phir socha ke ek aisa novel likhun jo dil se nikle aur seedha dil tak jaaye — jo *YouTube community* ko bhi attract kare. _"YouTube wala pyar"_ 😂
Bohat socha ke naam badal dun, story badal dun... lekin phir dil ne kaha: _"Story waisi hi rehne do Mahi, naam bhi *Ishq Junoon* hi rehne do. Kyun ke ye junoon tera apna hai."_
*Ek baat clear kar dun: Ye novel real story nahi hai, lekin iske kuch scenes real life se inspired hain.* Kuch dard maine khud mehsoos kiye hain, kuch lamhe maine khud jiye hain. *Ek ek lafz mera apna hai — koi copy paste nahi.*
Shayad kuch logon ko yaad ho... maine *Hina* aur *Yunna* ko bataya tha ke main novel likh rahi hun. Heroine ka naam *Eman* rakha hai — jo Yunna ka real name bhi hai. Sach kahun to maine soch kar nahi rakha tha... lekin ab post likhte hue achanak yaad aaya. Itefaq bhi kya cheez hai 💜
Maine himmat karke phir se likhna shuru kiya hai. Kuch episodes ready hain. Filhaal Episode 1 ka promo post kar rahi hun.
*Mujhe aap sab ka support chahiye... phir se grow karne ke liye, phir se usi junoon ke saath likhne ke liye.* Agar Arham aur Eman ki ye barish aapko apni lage, agar ye junoon aapke dil ko chhoo jaye... to zaroor batana, zaroor share karna.
*Aapka ek comment, ek share mere liye phir se shuru karne ki wajah ban sakta hai.* Phir main First Episode bhi post kar dungi.
Aap sab ke saath ka intezar rahega... 💜
#IshqJunoon #MahiWrites #UrduNovel #NewBeginning #SupportWriters #ArhamAurEman
3 weeks ago | [YT] | 7
View 9 replies
Load more