Hi! This is Anchal from Lucknow. Thanks for being here.
For collaboration or any Business Query :
iamanchalshukla@gmail.com


Anchal Shukla

Hello dosto 🤗 kaise ho sab log?
Aur kaisa raha aaj ka din? Kya kya kiya aap logo ne apni apni mummy ke liye?😄

2 weeks ago | [YT] | 274

Anchal Shukla

Hello yaaro♥️ ki haal??😄
Aur batao kya chal raha hai life me?
To next video to kal ya parso me aa jayega, mujhe ye batao uske baad kis topic pe apko video chahiye? Jis topic ke sabse jyada comments honge, usi pe video aa jayega 🤗

2 months ago | [YT] | 495

Anchal Shukla

15:2:26 🤍🌸

3 months ago | [YT] | 1,063

Anchal Shukla

Hello♥️ kaise ho aap sab? Life kaisi chal rahi hai?
Bahut dino baad aaj video live kiya hai usko nii dekha hai to jaldi se dekh lo aur batana video kaisa laga🤗
Aur next video mai kispe karungi wo maine abhi abhi decide kar liya hai, uske baad mai weight gain pe video karungi..
Aur ha mujhe ye puchna tha ki aap logo ka farewell kab hai?
Aur farewell hai to uske liye apko kaisa video chahiye? Kya kya problems hoti hai aur uska solution mai dungi.. skin, dress, makeup saari cheeje share karungi..
To mujhe jaldi jaldi se bata do.. jisse mai decide kar lu ki mujhe kaise kya karna hai😬

Waise apko to pata hi hoga mai bua ban gayi hu🥳😬😂😌🥰 baby ko dekha aap logo ne?🤔

https://youtu.be/PDh_beL8F5E

4 months ago (edited) | [YT] | 436

Anchal Shukla

Hello.. kaisi rahi ap sab ki diwali?♥️🪔

7 months ago | [YT] | 900

Anchal Shukla

Hello kaise ho aap sab?💙
Kaisi lagi ye pics??😄 isko kaise banana hai iska tutorial kal aa jayega🤗

Instagram pe bhi follow karo♥️
www.instagram.com/iamanchalshukla?igsh=ZWxveG80NmZ…

Snapchat pe ho kya aap log? Waha bhi aao🥰
snapchat.com/t/Lq7r27Eo

8 months ago | [YT] | 899

Anchal Shukla

Hello🤍 kaise ho aap sab? Kya haal chaal hai? Life me kya chal raha hai kuch batao na😄

Instagram pe bhi follow karo💕
www.instagram.com/iamanchalshukla?igsh=ZWxveG80NmZ…

9 months ago (edited) | [YT] | 788

Anchal Shukla

Jo bhi teenager girls hai, please sab log padhayi pe dhyan do, life me kuch karo, itna kar lo khud k liye ki kabhi life me kisi pe depend na hona pade, balki aap khud dusro ki help kar sake paise se..
Time bht kharab h kisi ka bharosa nii hai, life me kuch to bano, aaj kal social media pe log Bht active h, daily life share karte, videos banate aur usse kamate bhi hai, wo start karo, bht se logo ko pasand nii ye sb karna to padhayi pe focus kro, but kuch karo.. aage bht kaam aayega yrr..
Aur mai ye isiliye kah rhi hu, aaj yrr maine reels dekhte hue Noida ka nikki case dekha, aisa pahle bhi bht aurto ke sath hua h, jb sasural walo ne bahu k sath kuch galat kiya ho..
seriously yrr ye video mjhse dekha nii gaya, 30 minute se mai bss ek jagah pe baithi hu aur mjhe Bht kharab feel ho raha h, shyd wo mai express bhi na kar pau, aisa lag raha body thandi ho gayi..
Bht bura hua ye jo bhi hua, shyd hum me se koi bhi iss baare me wo kah bhi na paye, iss cheej ko kaise explain karenge, maine news padhi, dowry ki wajah se shyd ye tha, full story kya h mjhe nii pata, wo wahi sb jaane, but jis tarah se uss ladki k sath wo bardaasht k bahar h, aur wo pain koi feel nii kar Skta, acid feka shyd uske husband ne uske upar, aur jalaya bhi..
yaar isiliye life me kuch karna Bht jruri h, aaj kal ki aurte Bht kuch bardaasht karti h lekin wo nii chod paati apne pati ko, kyuki wo life me kya karengi fir kyu ki wo kamati nii, rishta todna galat h, lekin itna bardaasht karna, ye bilkul sahi nahi h..
Heartbreaking reality h💔

9 months ago | [YT] | 376

Anchal Shukla

Hello🩷

9 months ago | [YT] | 904

Anchal Shukla

Hello♥️ kaise ho aap sab?🤗
Ye video apne dekhe ya nahi?
1- pimple removal- https://youtu.be/4WptCWf1Egg

2- monsoon hacks- https://youtu.be/d7EfJgxwo-0

9 months ago (edited) | [YT] | 429